Sunday, 8 February 2015

yeh kaisa haal hai ke

Mujhko pata chala na tumko khabar gayi,
phir baat thehri thi jo kyonkar kidhargayi.

Tumne kahi na maine suni phir woh ankahi,
kis raaste se aayi kis dam guzar gayi.


Kal tak to bas bhari thi chingariyan hi dil mein,
ek woh sharaar nikli sab zakhm bhar gayi.


Rote huye hansi si aayi hai jo labon pe,
kuch baat thi ki aise hairaan kar gayi.


Tum ho azeez mere kuch to karo 'Khayaal',
yun na kaho ki jaan raqeebon ke ghar gayi.


-'Khayaal'

No comments:

Post a Comment