haalaat ke shazar mein har patta kahaani tha,
maine diya tha khoon aur tumne diya paani tha.
har saans barasti thi bas us shazar ko mehkaane,
har dhadkan me chhupa jazbaa-e-rawaani tha.
kya sochkar us ped ko tum kaat.te they aksar,
woh meri tamanna tha woh meri jawaani tha....
-'Khayaal'

No comments:
Post a Comment