Sunday, 8 February 2015

naakaamiyaan

Har gali khaali si hai aur rasta har veeraan hai,
Is baher mein aana ab shaayed koyi toofaan hai.

Goonjti hain dhadkanein aur cheerti kaano ko hain,
Dil mera naashaad hai naakaam hai naadaan hai.

Main kahaan dhoondhu sukoon-o-chain ki wo karwatein,
Neemvaayi ko machalti pasliyon mein jaan hai.

Ret par thehri sadaf ko mauj ka imkaan hai par,
Hai guhar uske hi andar isse woh anjaan hai.

-'Khayaal'

No comments:

Post a Comment