le aao phir woh suhaani shaamo ki baatein,
chamakte woh din aur woh jugnu si raatein.
woh hasna hasaana woh milna milaana,
raat bhar hone waali sitaaron ki baatein.
ki ab paas hain saath phir bhi nahi hain,
bahut yaad aati hain dost yaaron ki baatein.
umar chheen legi sukoon yeh na socha
tha bachpan mein karte umardaaro ki baatein.
-'Khayaal'

No comments:
Post a Comment