Sunday, 8 February 2015

asraar

Paani mein bikhre surkh gulaabon ki tarah,
Woh kaisa waaqiya tha saraabon ki tarah.

Ek shorish-e-baaraan mein kuch uljha hua sa tha,
Part dar part khula wo lamha hijaabon ki tarah.

Naqaabil-e-yakeen tha asraar jo bhi tha,
jo kuch bhi saamne tha, tha khwaabon ki tarah.

Us taajir-e-nihaan se na kuch poochte bana,
Rakhne pade sawaal jawaabon ki tarah...

-'Khayaal'

No comments:

Post a Comment