Sunday, 8 February 2015

Chaandni jalaati hai

Saher se muntazir tha dil tumhara,
Pur aatish din bada thanda sa beeta...
Magar yeh raat jaise jal uthi hai,
Bataao kya karoon main??

Hai taptee saans aur hain dhadkanein angaar jaisee,
Tumhari yaad ki thandak bhi ab shola bani hai,
Bataao kis tarah se saans loon main??

-'Khayaal'

No comments:

Post a Comment