Har ghari intezaar hota hai,
Maut par kab hisaar hota hai.
Ye bhi kar loon, woh bhi paa loon isi zamaane mein,
Ek shub'ha baar baar hota hai.
Maut par kab hisaar hota hai.
Ye bhi kar loon, woh bhi paa loon isi zamaane mein,
Ek shub'ha baar baar hota hai.
Kal jo apna tha ab kisi ka nahin,
Chaand taaron mein shumaar hota hai.
Kar lo neki naseeb hon jitni,
Faisla aakhirkaar hota hai.
Jitni hoti udaan hai jiski,
Utna hi aabshaar hota hai..
.
-'Khayaal'
Chaand taaron mein shumaar hota hai.
Kar lo neki naseeb hon jitni,
Faisla aakhirkaar hota hai.
Jitni hoti udaan hai jiski,
Utna hi aabshaar hota hai..
.
-'Khayaal'
No comments:
Post a Comment