Saturday, 29 September 2012

Saayeqaat..

Ghiri ghata hai magar koyi saayeqaat nahin,
Halki si baarish hai ae dil darne ki koyi baat nahin.

Dil bahel jaaye hawaayein ab aisi kahaan,
Aur rula de jo hoti woh ab barsaat nahin.

Hamne duniya ke liye ashqon se adaavat kar li,
Aur khush rahoon ab aise mere haalaat nahin.

Sun.na chaaho to mere dil ki dhadkanein sun lo,
Ab sunaane ko mere paas waaqiyaat nahin.

-'Khayaal'

No comments:

Post a Comment