Friday, 4 May 2012

Shikaayat

Unko hai shikaayat kyon na kuch kehta hoon main
Abhi hai zarf kuch baaqi to chup rehta hoon main.

Woh keh rahe hain dost jo khud ko mera ajeez
Koyi unse jaake pooch le kahaan rehta hoon main

Mujhko hi khud saraab khuda ne bana diyaa,
Kab se yunhi pyaasa dariyaaon mein behta hoon main

Tum jo samajh rahe ho mujhe woh nahi hoon main
Phir kya wajood hai mera, is soch mein rehta hoon main

Tere qareeb hoon main aur hoon tumse door bhi
Hai agar yeh zindagi to haan- zinda rehta hoon main...
-'khayaal'

No comments:

Post a Comment