Friday, 4 May 2012

Ahwaal...

Mere dayaar me koyi jo pur-asbaab aata hai,
Bas haafiz hai WO hi, dil se yehi jawaab aata hai.

Na uthaya jaata hai nivala na khaya jaata hai
Banke mohsin jab shauk-e-khana kharaab aata hai.

Is haal-e-chaman pe kaleja kaamp jata hai
Bada ghamgeen hota hai aksar jo ek khwaab aata hai.

Saayebaano ke saaye hi me jab azaab aata hai
Rooh hoti hai jab bismil to inqelaab aata hai...

No comments:

Post a Comment