Friday, 11 May 2012

Maayoosi

Apne haalaat ki saaqi ko khabar hone tak
Main chhalakta hoon kyon har raat sahar hone tak

Waqfa-e-dhadkano me bhi kyon dil dhadakta hai
Ashq behte hain kyon khoon se tar hone tak

Main jo gumsum hoon koyi baat zaroori to nahi
Waqt lagta hai magar khatm-e-asar hone tak
Baad muddat ke mujhe ab ye 'khayaal' aaya hai
Chaand bhi rehta hai maayoos badar hone tak

No comments:

Post a Comment