Woh nahi hai to bhi har sher hai 'Khayaal' uska
Ki jab wo tha to har taraf tha jamaal uska
Wo bebaak kiye jata tha awargi ke kisse bayaan
Ho chala tha daur-e-adab me zikr aam uska
Uske har lafz ne ek nayi kahaani likhi
Rah gaya laajawaab ab talaq sawaal uska
Yon to pehle bhi 'Asraar' use kehte the
Phir naya rang isme mil gaya taqallus ka
Usne bahr-e-sana me khilwaton ki rau daali
Majaaz tha woh aur tha 'Majaaz' hi naam uska...
No comments:
Post a Comment