Woh jisne tijaarat ko hi imaan bana rakkha tha
Aur harf-e-Quraani ko taakhon me saja rakkha tha
Rang-o-boo ke taraddud wo bade karta tha
Aisee cheezon ko apni shaan bana rakkha tha
Mil gaya khaaq mein woh bhi dekho
Aasmaano mein jisne maqaan bana rakkha tha
-'Khayaal'
No comments:
Post a Comment