Thursday, 21 February 2013

kaisa hamsaaya

Gulnuma badr bhi ab gul kahaan barsata hai,
Zard, sabz, surkh sab syaah nazar aata hai.

Lut chuke dil ki gareebi pe na khao taras,
Ab to hamdardi se bhi dil mera ghabrata hai.

Had-e-nigaah talak bas dhundh hai gubaar hai,
Dhup aisi ke hamsaaya bhi chhipa jata hai.

-'Khayaal'

No comments:

Post a Comment