Tuesday, 10 April 2012

Khala...

Ek khala se guzar raha hoon main
Qatl apna hi kar raha hoon main

Ghair lagti hai yaar ki mehfil wahaan
Khud ke hone se dar raha hoon main

Raas aati nahi hain ab to anaa ki baatein
Pur-hausla tha kabhi ab sihar raha hoon main

Husn kyon lootne waalo ko mila karta hai
'Khayaal' bhi yeh Lut ke kar raha hoon main

No comments:

Post a Comment