Monday, 13 June 2016

Tere Haasil se kya haasil

Tere haasil se kya haasil ka taqaada kiya karein,
jab khaak hai sab khaak kya parwaah kiya karein.


ab umar ho chali hai teri hasraton ki nazr,
tere husn ka deedaar naujavaan kiya karein.


Ek tu hai shokh, tez, badgumaan, badmijaaz
ek ham tere hi baare mein socha kiya karein.


woh aur they jinhe talaash maikade ki thi,
Aashiq tere hain, bin piye behka kiya karein.


-'Khayaal'

No comments:

Post a Comment