Apne maazi ko kaleje lagaaye baithe hain,
aatish-e-ashq mein dil jalaaye baithe hain.
tum paas ho ki door kya fareb hai yeh,
yaa koi but ho jisko sajaaye baithe hain.

yeh jo ghar jaisa dikhta hai kya hai aakhir,
ya ki ham gird kuch patthar jamaaye baithe hain.
yeh hai kaisa saraab koyi bataaye hamko,
hai agar raasta koyi to dikhaaye hamko,
vahshato ka maare hain ham koyi bachaaye hamko,
Saans lete hain to dam ghuta sa jaata hai,
apni yeh kaifiyat sabse chhupaaye baithe hain...
-'Khayaal'

No comments:
Post a Comment